Nahi Ha Rut Ye Milnay Ki Wo Mosam Aur Hi Ho Ga
Tere Anay Ki Gharyon Ka Wo Aalam Aur Hi Ho Ga
نہیں ہے رُت ہے یہ ملنے کی وہ موسم اور ہی ہو گا
تیرے آنے کی گھڑیوں کا وہ عالم اور ہی ہو گا
Koi Madham Mehak Aa Kar Galay Ka Haar Banti Hai
Udasi Hijr Ki Jese Wisal-E-Yaar Banti Hai
کوئی مدھم مہک آ کر گلے کا ہار بنتی ہے
اداسی ہجر کی جیسے وصالِ یار بنتی ہے
Tere Pholon Se Honton Par Tabassum Aur Hi Ho Ga
تیرے پھولوں سے ہونٹوں پر تبسم اور ہی ہو گا
Jahaan Jis Main Rafaqat Ki Khushi Mehsoos Hoti Hai
Mohabbat Jis Main Har Shay Da'aimi Mehsoos Hoti Hai
جہاں جس میں رفاقت کی خوشی محسوس ہوتی ہے
محبت جس میں ہر شے دائمی محسوس ہوتی ہے
Hamare Raaz Kay Halon Ka Mehram Aur Hi Ho Ga
Nahi Hai Rut Ye Milnay Ki Wo Aalam Aur Hi Ho Ga
ہمارے حال کے رازوں کا محرم اور ہی ہو گا
نہیں ہے رُت یہ ملنے کی وہ موسم اور ہی ہو گا
(Muneer Niazi)
Watch & Listen Video of This Poetry Below
No comments:
Post a Comment