Wednesday, 1 June 2016

Tere Qareeb Aa Kay Mein Tere Doston Main Hon Ya Tere Dushmanon Main Hon Very Beautiful gahazal by Ahmad faraz

Tere Qareeb Aa Kay Mein Tere Doston Main Hon
Ya Tere Dushmanon Main Hon
Very Beautiful gahazal by Ahmad faraz

Tere Qareeb Aa Kay Bari Uljhanon Main Hon
Main Tere Dushmanon Main Hon Kay Tere Doston Main Hon

تیرے قریب آ کے بڑی الجھنوں میں ہوں
میں دشمنوں میں ہوں کہ ترے دوستوں میں ہوں

Mujh Se Guraiz Pa Hai To Har Rasta Badal
Main Sang-E-Rah Hon To Sabhi Raston Main Hon

مجھ سے گریز پا ہے تو ہر راستہ بدل !
میں سنگ ِ راہ ہوں تو سبھی راستوں میں ہوں

To A Chuka Hai Sathaa Pe Kb Se Khabr Nahi
Bay Dard Main Abhi Unhi Gehrayon Main Hon

تو آ چکا ہے سطح پہ کب سے خبر نہیں
بے درد میں ابھی انہی گہرائیوں میں ہوں

Aye Yar Khush Dayyar Tujhay Kya Khabr Kay Main
Kab Say Udasiyon Kay Ghanay Jungle Main Hon

اے یار خوش دیار تجھے کیا خبر کہ میں
کب سے اداسیوں کے گھنے جنگل میں ہوں

To Loat Kar Bhi Ahl-E-Tamanna Ko Khush Nahi
Main Lut Kay Bhi Wafa Kay Unhi Qafilon Main Hon

تو لوٹ کر بھی اہل ِ تمنا کو خوش نہیں
میں لٹ کے بھی وفا کے انہیں قافلوں میں ہوں

Badla Na Mere Bad Bhi Mozuaye Guftago
Main Ja Chuka Hon Phir Bhi Teri Mehfilon Mainhon

بدلا نہ مرے بعد بھی موضو ع گفتگو
میں جا چکا ہوں پھر بھی تری محفلوں میں ہوں

Mujh Se Bichar Kay To Bi To Roye Ga Umar Bhar
Ye Soch Lay Kay Main Bhi Teri Khaahishon Main Hon

مجھ سے بچھڑ کر تو بھی تو روئے گا عمر بھر
یہ سوچ لے کہ میں بھی تری خواہشوں میں ہوں

Too Hans Raha Hai Mjh Par Mera Hal Dekh Kar
Aur Phir Bhi Main Shareek Tere Qehqahon Main Hon

تو ہنس رہا ہے مجھ پر مرا حال دیکھ کر
اور پھر بھی میں شریک ترے قہقہوں میں ہوں

khud bhi misaal lalaye sehra laho laho
Aur Khud Faraz Apnay Tamashayon Main Hon

خود بھی مثالِ لالئہ صحرا لہو لہو
اور خود فراؔز اپنے تماشائیوں میں ہوں

(Ahmad Faraz)

Watch & Listen Video Of This Poetry Below



No comments:

Post a Comment